Hair fall treatment: Best home remedy for hair fall
Aajkal hair loss ek normal se bimari bn chuki hai , cahey men ho ya women sbhi aajkal hair fall se preshan ho rhe rhe hai. Market mein waise to bhut se products hai hair fall ke treatment ke liye . Pr bhut se baar dekha ye he jaata hai ki hjaaro paise krch kr ke bhi hume nerash he hona pdta hai . Ab ese mein svaal ye uthta hai ki hair fall jaisi bimari se kaise bacha jaye?
Is article mein humne best remedies add ki hai jo faydemnd bhi hai or na he jyada costly hai. Chaley jante hai in useful remedies ke baare mein:
1. Egg- egg me protein ki matra sabse adhik paye jaati hai, esley egg hairs ke ley bhut faydemand hota hai. Hair fall ka main karan he protein ki kami hoti hai, bhut se logo mein protein ki kmi bhot hojati hai jeski vjha se unke baal jhadne lagte hai.
2. Head massage- head massage hairs ke ley kese vardaan se kam nahi hai . Jo log regular head massage karte hai unke hairfall ki problem kam ho jati hai kyunki head massage karne se head mein blood circulation accha hota hai or tension bhi durr ho jaati hai jisse hair fall ki problem kaafi kam ho jaati hai.
3. Herbal shampoo- Kai baar strong shampoo use karne se hair fall jessi problem hone lagti hai to aise mein hume at least hafte mein 2 baar herbal shampoo ka use karna chahiye ya kisi bhi mild shampoo ka . Kyuki herbal shampoo chemical free hote hai or humare head ki scalp ko jayada nuksan nhi phochate hai.
4.Neem - Hair Fall ka karan kyi baar head mein hone vale bacteria ki vjha se bhi hota hai . Ese mein neem best remedy hai kisi bhi prakar ke fungus ya bacteria ko head se dur bhagane mein . Neem antiseptic gunn bhut hote hai jo hamare health ke liye kafi profitable sabit hoti hai or eska best part ye ki eska koi bhi side effects bhi nhi hai.
5. Hair wash- bhut se logo ko aadat hote hai 5 to 6 days mesin hair wash karne ki , ye bilkul galat baat hai kyuki aajkal pollution ki vajah se hamare scalp mein dhool-mitti jam jaati hai or jiski vajah se hair fall jesi problems hone lagti hai. Esse mein best ye hai ki week mein kam se kam 3 se 4 baar hair wash karna chahiye taaki gandgi baalo se durr rhe .
6. Onion and Garlic paste- Hairs mein agar khujli ya dandruff hai to aise mein onion or garlic ka paste bnakr hairs mein lagaye or 2 to 3 hours ke baad hairs wash kr le . Khujli ya dandruff jessi problem esse theek ho jati hai or hair fall nahi hota .
7. Diet- hair fall ka ek karan low diet bhi ho sakta hai , body mein proteins or iron ki kami se bhi hair fall jessi problem hote hai. To ese mein best ye hai ki apni diet mein leafy vegetables and fruits ko add kre or non- veg bhi better option hai, taaki body mein proteins ki matara theek rhe or humare body or hairs healthy bn ske.
Ye thi kuch normal si tips jenke help se hum hair fall jesi problem ko theek kr skte hai. Home remedies he best hoti hai kyuki enka koi side effects bhi nhi hota or paise bhi waist nhi hote.
Agar aapke din mein 30 to 50 hairs girte hai to ye normal hai aise mein ghabrane ki baat nhi hai or iska hum home remedies ki help se control kr skte hai , pr agar aapke din mein 30 to 50 se jyada baal jhadte hai to aise mein aap hair specialist se jarur advice le.
Nice post.
ReplyDeleteHair Fall Treatment in Indore